Ajnabi Musafir Ko Rasta Dikhaega

ajnabi musafir ko rasta dikhaega

kaun apni chaukhaT par ab diya jalaega

jitni neamaten hongi KHub DaT ke khaega

phir hamein qanaat ka wo sabaq paDhaega

pahle aane wale hi luT le gae sab mal

baad mein jo aaega KHali hath jaega

peT hai agar KHali phir kahan ki KHuddari

bhuk jab sataegi KHud ko bech khaega

sab ki apni rahen hain sab ki apni samten hain

kaun aise aalam mein karwan banega

jis ki umr guzri ho reshmi shabistan mein

kya wo hanpte din ki dastan sunaega

aaina sifat logo yun raho na parde mein

warna kaun duniya ko aaina dikhaega

hum jo mil ke aapas mein raushni luTaenge

main bhi jagmagaunga tu bhi jagmagaega

phir wo dega KHush-KHabari hum ko par utarne ki

phir nadi mein kaghaz ki naw wo bahaega

meri jaD bhi kaTega waqt par pas-e-parda

wo meri himayat mein hath bhi uThaega

mahfilen faqiron ki boriye pe sajti hain

bargah-e-shahi ko kaun munh lagaega

afsaron ke KHadim sab juT gae safai mein

'mahir' apni basti mein aaj kaun aaega

(458) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ajnabi Musafir Ko Rasta Dikhaega In English By Famous Poet Mahir Abdul Hayee. Ajnabi Musafir Ko Rasta Dikhaega is written by Mahir Abdul Hayee. Read famous Poem Ajnabi Musafir Ko Rasta Dikhaega for youth and Student by Mahir Abdul Hayee. Free Download Ajnabi Musafir Ko Rasta Dikhaega in PDF.