Apni KHata Ko Isne Mere Nam Likh Diya

apni KHata ko is ne mere nam likh diya

us par kamal ye ki sar-e-am likh diya

andhon ke darmiyan rahun aaina misal

mere liye KHuda ne ajab kaam likh diya

naraaz hai wo mujh se bas itni si baat par

tira-shabi ko din na likha sham likh diya

kuchh ban paDa na hasrat-e-tamir se to phir

ujDe hue khanDar ko dar-o-baam likh diya

jab tirgi baDhegi to chamkega aur bhi

dil ke lahu se hum ne tera nam likh diya

kahte hain kis ko sabr-o-tahammul ye hum se puchh

taklif jo mili use aaram likh diya

ye bhi hua ki jis ne ujaDe the ghar ke ghar

munsif ne us ko laeq-e-inam likh diya

chahi thi main ne jis ki bhalai tamam umr

us ne meri duaon ko dushnam likh diya

koi to baat hogi ki ahl-e-nigah ne

jitne samar the puKHta unhen KHam likh diya

ab wasta paDa hai to 'mahir' khula ye raaz

patthar badan ko hum ne gul-andam likh diya

(375) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Apni KHata Ko Isne Mere Nam Likh Diya In English By Famous Poet Mahir Abdul Hayee. Apni KHata Ko Isne Mere Nam Likh Diya is written by Mahir Abdul Hayee. Read famous Poem Apni KHata Ko Isne Mere Nam Likh Diya for youth and Student by Mahir Abdul Hayee. Free Download Apni KHata Ko Isne Mere Nam Likh Diya in PDF.