Dil Ka Sarmaya Liye Tu Bhi Koi Bazar Dekh

dil ka sarmaya liye tu bhi koi bazar dekh

tere dushman ka chamak uTTha hai karobar dekh

jis pe chalne ka sila hai manzil-e-amn-o-sukun

khinch di hai waqt ne us rah mein diwar dekh

ruh-e-taza kaun phunkega tan-e-be-ruh mein

lashkar-e-darmandagan hai be-sipah-salar dekh

hijraton ke silsile baqi hain duniya mein abhi

lekin ab DhunDe se bhi milte nahin ansar dekh

jaan de kar jaan li tu ne bhala ye kya kiya

teri qurbani hui mere gale ka haar dekh

jis ki KHushbu se moattar hai masham-e-zindagi

be-waqar-e-wazn phirta hai wo nafa-dar dekh

ai sarapa-shama bazm-e-mah-o-anjum se nikal

kin andheron ko hai teri raushni darkar dekh

daman-e-dil bhar ke le jate hain arbab-e-nazar

be-nawa darwesh ka darbar hai darbar dekh

kis ke roke se ruki hai gardish-e-lail-o-nahaar

zulmat-e-shab ke pujari subh ke aasar dekh

kab talak gaega 'mahir' azmat-e-mazi ke git

asr-e-nau ki roz-afzun garmi-e-bazar dekh

(403) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dil Ka Sarmaya Liye Tu Bhi Koi Bazar Dekh In English By Famous Poet Mahir Abdul Hayee. Dil Ka Sarmaya Liye Tu Bhi Koi Bazar Dekh is written by Mahir Abdul Hayee. Read famous Poem Dil Ka Sarmaya Liye Tu Bhi Koi Bazar Dekh for youth and Student by Mahir Abdul Hayee. Free Download Dil Ka Sarmaya Liye Tu Bhi Koi Bazar Dekh in PDF.