Fareb Shab Ka Giraftar Rahun Bachao Mujhe

fareb shab ka giraftar rahun bachao mujhe

jala ke shama koi rasta dikhao mujhe

zaban-e-haal se kahti hai yaad mazi ki

tumhaari rah ki diwar hun girao mujhe

kahan hun dasht-e-talab mein mujhe pata to chale

mera bhi nam pukaro koi bulao mujhe

main nam zamin ka pauda hun sukh jaunga

sulagti dhup ke sahra mein mat lagao mujhe

koi mata-e-hunar dast-e-be-hunar ke liye

kahaniyan na karamat ki sunao mujhe

biTha ke niche ghaTate ho kyun mujhe har bar

bhale ko apne kabhi dahine biThao mujhe

mere suluk ki surat badal nahin sakti

hazar zulm-o-sitam kar ke aazmao mujhe

ye be-ruKHi ye taghaful kahan talak pyare

tumhaare kaam hi aaunga mat ganwao mujhe

nigal na jae kahin mujh ko dasht-e-KHamoshi

akela chhoD ke jao na ai sadao mujhe

mujhe bhi shauq hai paDhne ka ye kitab-e-ghazal

kahin se muft mein hath aae to batao mujhe

(442) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Fareb Shab Ka Giraftar Rahun Bachao Mujhe In English By Famous Poet Mahir Abdul Hayee. Fareb Shab Ka Giraftar Rahun Bachao Mujhe is written by Mahir Abdul Hayee. Read famous Poem Fareb Shab Ka Giraftar Rahun Bachao Mujhe for youth and Student by Mahir Abdul Hayee. Free Download Fareb Shab Ka Giraftar Rahun Bachao Mujhe in PDF.