Jo Ba-zahir Sahar-asar Nazar Aate Hain

jo ba-zahir sahar-asar nazar aate hain

wo bhi andar se shab-e-tar nazar aate hain

kijiye kis se yahan qadr-e-hunar ki ummid

ab wo darbar na dur-bar nazar aate hain

kam se kam apne gareban hi ke purze karte

hath par hath dhare yar nazar aate hain

shahr-dar-shahr makanon mein andhera hai magar

jagmagate hue bazar nazar aate hain

kaun aawaz uThaega hamare haq mein

sab tere hashiya-bardar nazar aate hain

ye bhi mumkin hai ki uD jaen to lauTen na kabhi

jitne bachche hain wo par-dar nazar aate hain

kitni dilkash hai ye ummid ki rang-amezi

sang-dil log bhi dildar nazar aate hain

wo rahe honge nazakat mein kabhi shaKH-e-gulab

ab to jab dekhiye talwar nazar aate hain

kis ki aamad hai gharibon ke gali-kuche mein

ujle ujle dar-o-diwar nazar aate hain

jin ke didar ko firdaus-e-tamasha kahiye

zindagi mein kahin ek bar nazar aate hain

shoKHi-e-naqsh-e-qadam hai ki gulabon ki qatar

raste sab gul-o-gulzar nazar aate hain

jo har ek band se aazad hain wo bhi 'mahir'

apni KHaslat ke giraftar nazar aate hain

(416) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jo Ba-zahir Sahar-asar Nazar Aate Hain In English By Famous Poet Mahir Abdul Hayee. Jo Ba-zahir Sahar-asar Nazar Aate Hain is written by Mahir Abdul Hayee. Read famous Poem Jo Ba-zahir Sahar-asar Nazar Aate Hain for youth and Student by Mahir Abdul Hayee. Free Download Jo Ba-zahir Sahar-asar Nazar Aate Hain in PDF.