Kho Gae Yun Kar-KHane Ya Kisi Daftar Mein Hum

kho gae yun kar-KHane ya kisi daftar mein hum

chhuTTiyon mein ajnabi lagte hain apne ghar mein hum

fasle se dekhne wala hamein samjhega kya

pyas ka sahra hain dariyaon ke pas-manzar mein hum

raat ko sone se pahle kya karen us ka hisab

kitne sayon ka taaqub kar sake din-bhar mein hum

bas hamin hum hain jahan tak kaam karti hai nigah

ek zarra hain magar phaile hain bahr-o-bar mein hum

muKHtalif KHakon mein chhinTon ki tarah taqsim hain

kya ubhar kar samne aaen kisi manzar mein hum

dusri jaanib andhera hai to kis ummid par

jagti aankhon ko rakh aae shigaf-e-dar mein hum

hai ye majburi ki aanch aati hai chaaron samt se

warna socha tha jiyenge mom ke paikar mein hum

hath jis shai ki taraf lapke wo ghaeb ho gai

phans gae 'mahir' ye kis aaseb ke chakkar mein hum

(382) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kho Gae Yun Kar-KHane Ya Kisi Daftar Mein Hum In English By Famous Poet Mahir Abdul Hayee. Kho Gae Yun Kar-KHane Ya Kisi Daftar Mein Hum is written by Mahir Abdul Hayee. Read famous Poem Kho Gae Yun Kar-KHane Ya Kisi Daftar Mein Hum for youth and Student by Mahir Abdul Hayee. Free Download Kho Gae Yun Kar-KHane Ya Kisi Daftar Mein Hum in PDF.