Kis Ke Aangan Se Guzar Kar Ye Hawa Aati Hai

kis ke aangan se guzar kar ye hawa aati hai

siskiyan leti hui bu-e-hina aati hai

kya kami hai ki nigahon se gire jate ho

dil mein ghar karne ki tum ko to ada aati hai

dil ki baaten mujhe kahni nahin aatin lekin

yahi kya kam hai teri hamd-o-sana aati hai

kha rahi hai tan-e-bimar ko andar andar

kis masiha ki dukan se ye dawa aati hai

kis jagah ruk ke zara der ko dam le koi

kahin saya hai shajar ka na sar aati hai

ab bahar-gam baDhi jati hai taklif-e-safar

ab musafir ko bahut yaad-e-KHuda aati hai

muddaton sang musibat ki ragaD khata hai

tab kahin aaina-e-dil mein jila aati hai

ek hammam mein goya ki sabhi nange hain

sharm aati hai na duniya ko haya aati hai

ab to is kar-r-gah-e-shisha-gari mein 'mahir'

har-nafas taza chhanake ki sada aati hai

(409) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kis Ke Aangan Se Guzar Kar Ye Hawa Aati Hai In English By Famous Poet Mahir Abdul Hayee. Kis Ke Aangan Se Guzar Kar Ye Hawa Aati Hai is written by Mahir Abdul Hayee. Read famous Poem Kis Ke Aangan Se Guzar Kar Ye Hawa Aati Hai for youth and Student by Mahir Abdul Hayee. Free Download Kis Ke Aangan Se Guzar Kar Ye Hawa Aati Hai in PDF.