Main Tere Shahr Mein Aaya To Thahar Jaunga
main tere shahr mein aaya to Thahar jaunga
saya-e-abr nahin hun ki guzar jaunga
jazba-e-dil ka wo aalam hai to insha-allah
dard ban kar tere pahlu mein utar jaunga
mahz bekar na samjhen mujhe duniya wale
zindagi hai to koi kaam bhi kar jaunga
de ke aawaz to dekhe shab-e-tarik mujhe
raushni ban ke fazaon mein bikhar jaunga
chhoD ai raunaq-e-bazar mera daman-e-dil
sham aangan mein utar aai hai ghar jaunga
main mujahid hun kisi se nahin Darta lekin
samna KHud ka jo ho jae to Dar jaunga
raste saf hain sab fazl-e-KHuda se 'mahir'
koi diwar na rokegi jidhar jaunga
(444) Peoples Rate This