Muddaton Se Jo Moattar Tha Wo Daftar KaT Kar

muddaton se jo moattar tha wo daftar kaT kar

zard mausam likh diya satar-e-gul-e-tar kaT kar

dida-e-bina ki KHatir tha jo saman-e-nashat

reza reza kar diya kis ne wo manzar kaT kar

koi khiDki hi nazar aai na darwaza mila

thak gae hain panw diwaron ke chakkar kaT kar

daman-e-shab mein hain kitne phul kya us ko KHabar

so gaya koh-e-mashaqqat ko jo din-bhar kaT kar

kho gaya hai aadmi be-chehragi ke dasht mein

le uDa hai waqt aainon ke jauhar kaT kar

yun kiya aazad zanjir-e-talluq se mujhe

chhoD de jaise koi tote ke shah-par kaT kar

chahte hain sab ko be-mehnat mile shirin hamein

kaun ab laega ju-e-shirin patthar kaT kar

tab kahin paya kisi ne us ki manzil ka pata

jab masafat qata ki KHud ko sarasar kaT kar

tirgi mein tha jo 'mahir' sham-e-raushan ki misal

KHak par phenka hai kis zalim ne wo sar kaT kar

(367) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Muddaton Se Jo Moattar Tha Wo Daftar KaT Kar In English By Famous Poet Mahir Abdul Hayee. Muddaton Se Jo Moattar Tha Wo Daftar KaT Kar is written by Mahir Abdul Hayee. Read famous Poem Muddaton Se Jo Moattar Tha Wo Daftar KaT Kar for youth and Student by Mahir Abdul Hayee. Free Download Muddaton Se Jo Moattar Tha Wo Daftar KaT Kar in PDF.