Nai Tahzib Se Bachchon Ko Bachaun Kaise

nai tahzib se bachchon ko bachaun kaise

KHud to bigDa hun zamane ko banaun kaise

wo na dekhe meri jaanib to nahin us ki KHata

main andhere mein paDa hun nazar aaun kaise

mere aangan mein to aai hi nahin mauj-e-bahaar

koi phulon se bhara git sunaun kaise

chahta to hun ki dekhun pas-e-parda kya hai

dastaras jis pe na ho us ko uThaun kaise

par nikalte hi koi us ko katar deta hai

apne bachchon ko fazaon mein uDaun kaise

waqt mahdud diya kaam diya la-mahdud

zindagi bol tera qarz chukaun kaise

jism par choT lagi ho to dikhaun 'mahir'

dil pe jo choT lagi hai wo dikhaun kaise

(367) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nai Tahzib Se Bachchon Ko Bachaun Kaise In English By Famous Poet Mahir Abdul Hayee. Nai Tahzib Se Bachchon Ko Bachaun Kaise is written by Mahir Abdul Hayee. Read famous Poem Nai Tahzib Se Bachchon Ko Bachaun Kaise for youth and Student by Mahir Abdul Hayee. Free Download Nai Tahzib Se Bachchon Ko Bachaun Kaise in PDF.