Roz-e-awwal Hi Se Tafriq Ye Auqat Mein Hai

roz-e-awwal hi se tafriq ye auqat mein hai

koi hai din ke ujale mein koi raat mein hai

main bhi majmua-e-azdad hun duniya ki tarah

kahin sahra kahin gulzar meri zat mein hai

hai mere gird meri man ki duaon ka hisar

gham nahin hai koi dushman jo meri ghat mein hai

main tahi-dast hun lekin ye pata hai mujh ko

wo mere nam hai jo chiz tere hat mein hai

daman-e-shab mein chamakte hain sitaron ki tarah

aks kis ka ye meri KHak ke zat mein hai

tirgi KHauf ki pahlu mein basi hai lekin

kuchh umidon ki chamak dil ke mazafat mein hai

mil hi jaegi kahin panw Tikane ki jagah

ab sitaron ka jahan meri futuhat mein hai

meri pasti pe bahut tanz na kar chashm-e-falak

us ko bhi dekh bulandi jo KHayalat mein hai

ek hi rang mein rahti hai tabiat har dam

farq jaDe mein na garmi mein na barsat mein hai

dil larazta hai pas-e-parda na ho zahr koi

kuchh ziyaada hi miThas ab ke teri baat mein hai

dekhna wo bhi kahin chhuT na jae 'mahir'

jo chamakta hua ek rang riwayat mein hai

(441) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Roz-e-awwal Hi Se Tafriq Ye Auqat Mein Hai In English By Famous Poet Mahir Abdul Hayee. Roz-e-awwal Hi Se Tafriq Ye Auqat Mein Hai is written by Mahir Abdul Hayee. Read famous Poem Roz-e-awwal Hi Se Tafriq Ye Auqat Mein Hai for youth and Student by Mahir Abdul Hayee. Free Download Roz-e-awwal Hi Se Tafriq Ye Auqat Mein Hai in PDF.