Tanhai Ka Gham Ruh Ke Andar Se Nikalun

tanhai ka gham ruh ke andar se nikalun

aawaz koi de to qadam ghar se nikalun

duniya use pujegi ba-sad husn-e-aqidat

main apni shabahat ko jo patthar se nikalun

kho jaun kahin tira-KHalaon mein to kya ho

KHud ko jo tere dard ke mehwar se nikalun

jo dost nazar aate hain ban jaenge dushman

kya munh se na sach baat bhi is Dar se nikalun

hassas ho duniya to jo nashtar se hai maKHsus

wo kaam bhi main barg-e-gul-e-tar se nikalun

dushwar sahi phir bhi koi sulh ka pahlu

haalat ke bigDe hue tewar se nikalun

sadiyon se lagi pyas ko 'mahir' jo bujha de

wo jura-e-zahrab samundar se nikalun

(400) Peoples Rate This

Related Poetry

Your Thoughts and Comments

Tanhai Ka Gham Ruh Ke Andar Se Nikalun In English By Famous Poet Mahir Abdul Hayee. Tanhai Ka Gham Ruh Ke Andar Se Nikalun is written by Mahir Abdul Hayee. Read famous Poem Tanhai Ka Gham Ruh Ke Andar Se Nikalun for youth and Student by Mahir Abdul Hayee. Free Download Tanhai Ka Gham Ruh Ke Andar Se Nikalun in PDF.