Wahshat Ke Sau Rang Dikhane Wala Main

wahshat ke sau rang dikhane wala main

KHud apni zanjir banane wala main

rose kuan khodun to pyas bujhaun rose

dariyaon se pyas bujhane wala main

mazi ke be-barg shajar par baiTha hun

mustaqbil ke git sunane wala main

kaise mumkin hai apnon par war karun

dushman ki choTen sahlane wala main

andar andar dard ki lahren upar se

har dam hansne aur hansane wala main

baghon ko viran banane wale log

sahraon mein phul khane wala main

sadiyon se masmum hawa ki zad par hun

ummidon ki fazl ugane wala main

dekho kab tak panw jamae rahta hun

unchi lahron se Takrane wala main

(387) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wahshat Ke Sau Rang Dikhane Wala Main In English By Famous Poet Mahir Abdul Hayee. Wahshat Ke Sau Rang Dikhane Wala Main is written by Mahir Abdul Hayee. Read famous Poem Wahshat Ke Sau Rang Dikhane Wala Main for youth and Student by Mahir Abdul Hayee. Free Download Wahshat Ke Sau Rang Dikhane Wala Main in PDF.