Waqt Ke Daman Se Dagh-e-tirgi Dho Jaenge

waqt ke daman se dagh-e-tirgi dho jaenge

dard ka suraj zamin-e-shab mein hum bo jaenge

aaj rone ki jagah par jin ko aati hai hansi

kal wahi hansne ke mauqe par lahu ro jaenge

kuchh na kuchh tuti ki bhi sunte agar ye jaante

ek din naqqar-KHane be-sada ho jaenge

raat ki ranginiyan munh dekhti rah jaengi

hum thakan se chur nange farsh par so jaenge

kis ne socha tha ye 'mahir' justuju ke josh mein

jangalon mein wapsi ke raste ho jaenge

(475) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Waqt Ke Daman Se Dagh-e-tirgi Dho Jaenge In English By Famous Poet Mahir Abdul Hayee. Waqt Ke Daman Se Dagh-e-tirgi Dho Jaenge is written by Mahir Abdul Hayee. Read famous Poem Waqt Ke Daman Se Dagh-e-tirgi Dho Jaenge for youth and Student by Mahir Abdul Hayee. Free Download Waqt Ke Daman Se Dagh-e-tirgi Dho Jaenge in PDF.