ZaKHm Par Rakhta Hai Marham Aasman Nashtar Samet
zaKHm par rakhta hai marham aasman nashtar samet
amn ka paigham deti hai hawa KHanjar samet
jab mere hamdard ne be-dast-o-pa dekha mujhe
le gaya mere samundar se sadaf gauhar samet
chaar-jaanib aag bhaDkai gai is taur se
ahl-e-binash ki nazar bhi jal gai manzar samet
aasman ki chhat zamin ka farsh baKHshta jaega
ghar ujaDe jaenge buniyaad ke patthar samet
tez raftari ne duniya ki uDaya ye ghubar
har saman dhundla gaya us aaina-paikar samet
jal rahe hain jo lahu se un diyon ke samne
haar baiThe hain parastran-e-sarsar sarsar samet
dekhna ye aansuon ki chand bundon ka kamal
lahlha uThi hai pathrili zamin banjar samet
main ne tera nam le kar jab rakha takiye pe sar
sara kamra KHushbuon se bhar gaya bistar samet
murgh-e-kam-himmat faza-e-be-karan hote hue
aashiyane tak raha mahdud baal-o-par samet
kal zamin mere muqabil wazn mein halki paDi
mujh ko jab rakkha gaya palre mein chashm-e-tar samet
is tahi dasti mein 'mahir' aabru ka kya sawal
hum ganwa baiThe hain dastar-e-fazilat sar samet
(420) Peoples Rate This