Sukun-e-qalb Ke Asbab Hum Pe Band Rahe

sukun-e-qalb ke asbab hum pe band rahe

magar hum ahl-e-mohabbat wafa-pasand rahe

qadam qadam pe sajae gae the dar-o-rasan

KHuda ka shukr ki hum phir bhi sar-buland rahe

wo ek hamein the jo sharminda-e-karam na hue

wo nang-e-ishq the jo iltija-pasand rahe

tere sitam ne mere dil ko hausla baKHsha

KHuda kare ki tera hausla buland rahe

zaban se taqat-e-guftar chhinne walo

tumhin batao ki kab tak zaban band rahe

jo aashna-e-faza-e-falak the ai 'mahir'

wo KHizr bhi to meri gard-e-pa mein band rahe

(363) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sukun-e-qalb Ke Asbab Hum Pe Band Rahe In English By Famous Poet Mahir Al-Hameedi. Sukun-e-qalb Ke Asbab Hum Pe Band Rahe is written by Mahir Al-Hameedi. Read famous Poem Sukun-e-qalb Ke Asbab Hum Pe Band Rahe for youth and Student by Mahir Al-Hameedi. Free Download Sukun-e-qalb Ke Asbab Hum Pe Band Rahe in PDF.