Abhi Dasht-e-karbala Mein Hai Buland Ye Tarana

abhi dasht-e-karbala mein hai buland ye tarana

yahi zindagi haqiqat yahi zindagi fasana

tera kaam tan ki puja mera kaam man ki sewa

mujhe justuju yaqin ki tujhe fikr-e-ab-o-dana

mere shauq-e-muztarib se hai rawan nizam-e-hasti

jo Thahar gai mohabbat to Thahar gaya zamana

wo faqih-e-ku-e-baatin hai adu-e-din-o-millat

kisi KHauf-e-duniyawi se jo tarash de fasana

tera KHar-o-KHas pe takiya mera ishq par bharosa

mujhe barq se mohabbat tujhe KHauf-e-ashiyana

mere jazb-e-dil ko 'mahir' koi kya samajh sakega

meri shairi ki had se abhi dur hai zamana

(456) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Abhi Dasht-e-karbala Mein Hai Buland Ye Tarana In English By Famous Poet Mahirul Qadri. Abhi Dasht-e-karbala Mein Hai Buland Ye Tarana is written by Mahirul Qadri. Read famous Poem Abhi Dasht-e-karbala Mein Hai Buland Ye Tarana for youth and Student by Mahirul Qadri. Free Download Abhi Dasht-e-karbala Mein Hai Buland Ye Tarana in PDF.