Agar Fitrat Ka Har Andaz Bebakana Ho Jae

agar fitrat ka har andaz bebakana ho jae

hujum-e-rang-o-bu se aadmi diwana ho jae

karam kaisa sitam se bhi na wo begana ho jae

main Darta hun mohabbat mein kahin aisa na ho jae

mujhe us anjuman mein bar pa kar is pe KHadsha hai

mera andaz-e-betabi na gustaKHana ho jae

nigah-e-mast saqi ki tilism-e-rang-o-masti hai

kahin paimana ban jae kahin mai-KHana ban jae

yahan bhi kuchh nigahen tishna-e-didar hain saqi

idhar bhi ek daur-e-nargis-e-mastana ho jae

main us mahfil ki tohmat kis tarah aaKHir uThaunga

KHamoshi bhi jahan afsana-dar-afsana ho jae

naqab ulTe hue ek roz agar wo KHud chale aaen

siyah-KHana mera 'mahir' tajalli-KHana ho jae

(506) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Agar Fitrat Ka Har Andaz Bebakana Ho Jae In English By Famous Poet Mahirul Qadri. Agar Fitrat Ka Har Andaz Bebakana Ho Jae is written by Mahirul Qadri. Read famous Poem Agar Fitrat Ka Har Andaz Bebakana Ho Jae for youth and Student by Mahirul Qadri. Free Download Agar Fitrat Ka Har Andaz Bebakana Ho Jae in PDF.