Ai Nigah-e-dost Ye Kya Ho Gaya Kya Kar Diya

ai nigah-e-dost ye kya ho gaya kya kar diya

pahle pahle raushni di phir andhera kar diya

aadmi ko dard-e-dil ki qadr karni chahiye

zindagi ki talKHiyon mein lutf paida kar diya

us nigah-e-shauq ki tira-afagni rakkhi rahi

main ne pahle us ko majruh-e-tamasha kar diya

un ki mahfil ke tasawwur ne phir un ki yaad ne

mere gham-KHana ki raunaq ko do-baala kar diya

mai-kade ki sham aur kanpte hathon mein jam

tishnagi ki KHair ho ye kis ko ruswa kar diya

(451) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ai Nigah-e-dost Ye Kya Ho Gaya Kya Kar Diya In English By Famous Poet Mahirul Qadri. Ai Nigah-e-dost Ye Kya Ho Gaya Kya Kar Diya is written by Mahirul Qadri. Read famous Poem Ai Nigah-e-dost Ye Kya Ho Gaya Kya Kar Diya for youth and Student by Mahirul Qadri. Free Download Ai Nigah-e-dost Ye Kya Ho Gaya Kya Kar Diya in PDF.