Chashm-e-nam Par Muskura Kar Chal Diye

chashm-e-nam par muskura kar chal diye

aag pani mein laga kar chal diye

sari mahfil laDkhaDati rah gai

mast aankhon se pila kar chal diye

gard-e-manzil aaj tak hai be-qarar

ek qayamat hi uTha kar chal diye

meri ummidon ki duniya hil gai

naz se daman bacha kar chal diye

muKHtalif andaz se dekha kiye

sab ki nazren aazma kar chal diye

gulsitan mein aap aae bhi to kya

chand kaliyon ko hansa kar chal diye

wajd mein aa kar hawaen rah gain

zer-e-lab kuchh gunguna kar chal diye

wo faza wo chaudhwin ki chandni

husn ki shabnam gira kar chal diye

wo tabassum wo adaen wo nigah

sab ko diwana bana kar chal diye

kuchh KHabar un ki bhi hai 'mahir' tumhein

aap to ghazlen suna kar chal diye

(628) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Chashm-e-nam Par Muskura Kar Chal Diye In English By Famous Poet Mahirul Qadri. Chashm-e-nam Par Muskura Kar Chal Diye is written by Mahirul Qadri. Read famous Poem Chashm-e-nam Par Muskura Kar Chal Diye for youth and Student by Mahirul Qadri. Free Download Chashm-e-nam Par Muskura Kar Chal Diye in PDF.