Saqi Ki Nawazish Ne To Aur Aag Laga Di

saqi ki nawazish ne to aur aag laga di

duniya ye samajhti hai meri pyas bujha di

ek bar tujhe aql ne chaha tha bhulana

sau bar junun ne teri taswir dikha di

is baat ko kahte hue Darte hain safine

tufan ko KHudi daman-e-sahil ne hawa di

mana ki main pamal hua zaKHm bhi khae

auron ke liye rah to aasan bana di

utni to mai-e-nab mein garmi nahin hoti

saqi ne koi chiz nigahon se mila di

wo chain se baiThe hain mere dil ko miTa kar

ye bhi nahin ehsas ki kya chiz miTa di

ai baad-e-chaman tujh ko na aana tha qafas mein

tu ne to meri qaid ki miad baDha di

le de ke tere daman-e-umid mein 'mahir'

ek chiz jawani thi jawani bhi luTa di

(598) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Saqi Ki Nawazish Ne To Aur Aag Laga Di In English By Famous Poet Mahirul Qadri. Saqi Ki Nawazish Ne To Aur Aag Laga Di is written by Mahirul Qadri. Read famous Poem Saqi Ki Nawazish Ne To Aur Aag Laga Di for youth and Student by Mahirul Qadri. Free Download Saqi Ki Nawazish Ne To Aur Aag Laga Di in PDF.