Mana Maqam-e-ishrat-e-hasti Buland Hai

mana maqam-e-ishrat-e-hasti buland hai

main dil ko kya karun ki use na-pasand hai

tum ko hijab mujh ko tamasha pasand hai

meri nazar tumhaari nazar se buland hai

allah re dil ki ishq mein diwana-wariyan

adnesha-e-ziyan hai na KHauf-e-gazand hai

aankhon mein aa chuki hai mohabbat ki wardat

tufan-e-be-panah piyalon mein band hai

ab un ka intiKHab karega ye faisla

ulfat buland hai ki tamanna buland hai

'mahir' azal mein dil ne kiya gham ka intiKHab

un ki KHata nahin hai ye dil ki pasand hai

(431) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mana Maqam-e-ishrat-e-hasti Buland Hai In English By Famous Poet Mahirul Qadri. Mana Maqam-e-ishrat-e-hasti Buland Hai is written by Mahirul Qadri. Read famous Poem Mana Maqam-e-ishrat-e-hasti Buland Hai for youth and Student by Mahirul Qadri. Free Download Mana Maqam-e-ishrat-e-hasti Buland Hai in PDF.