Kuchh Is Tarah Nigah Se Izhaar Kar Gae

kuchh is tarah nigah se izhaar kar gae

jaise wo mujh ko waqif-e-asrar kar gae

iqrar kar diya kabhi inkar kar gae

be-KHud bana diya kabhi hushyar kar gae

yak-tai-e-jamal ki hairat na puchhiye

har ma-siwa ke wahm se be-zar kar gae

kuchh is ada se jalwa-e-mani ki sharh ki

mere KHayal-o-fikr ko bekar kar gae

allah re un ke jalwa-e-rangin ki fitraten

sare jahan ko naqsh-ba-diwar kar gae

wade ka un ke zikr hi 'mahir' fuzul hai

tum kya karoge wo agar inkar kar gae

(470) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kuchh Is Tarah Nigah Se Izhaar Kar Gae In English By Famous Poet Mahirul Qadri. Kuchh Is Tarah Nigah Se Izhaar Kar Gae is written by Mahirul Qadri. Read famous Poem Kuchh Is Tarah Nigah Se Izhaar Kar Gae for youth and Student by Mahirul Qadri. Free Download Kuchh Is Tarah Nigah Se Izhaar Kar Gae in PDF.