Lafz O Manzar Mein Maani Ko TaTola Na Karo

lafz o manzar mein maani ko TaTola na karo

hosh wale ho to har baat ko samjha na karo

wo nahin hai na sahi tark-e-tamanna na karo

dil akela hai ise aur akela na karo

band aaankhon mein hain nadida zamane paida

khuli aaankhon hi se har chiz ko dekha na karo

din to hangama-e-hasti mein guzar jaega

subh tak sham ko afsana-dar-afsana karo

(496) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Lafz O Manzar Mein Maani Ko TaTola Na Karo In English By Famous Poet Mahmood Ayaz. Lafz O Manzar Mein Maani Ko TaTola Na Karo is written by Mahmood Ayaz. Read famous Poem Lafz O Manzar Mein Maani Ko TaTola Na Karo for youth and Student by Mahmood Ayaz. Free Download Lafz O Manzar Mein Maani Ko TaTola Na Karo in PDF.