Muhit-e-KHwab Se Ek Baad-e-tah-nashin Ubhri

muhit-e-KHwab se ek baad-e-tah-nashin ubhri

hawa-e-subh se ek ghurfa-e-KHayal khula

masam-e-jaan mein hai ek dast-e-ashna ki mahak

ghubar-e-dasht mein raushan hai naqsh-e-pa kis ka

wo kaisi did ki saat thi phir nahin aai

wo kaisa KHwab tha ek umr chashm-e-tar mein raha

jo intizar abad tak hai jism-o-jaan ke firaq

jo ho sake to ab is raat ko abad se mila

bahut sambhaal ke rakkhi hai KHalwat-e-jaan mein

wo ek shama ki daur-e-tarab bujha na saka

(370) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Muhit-e-KHwab Se Ek Baad-e-tah-nashin Ubhri In English By Famous Poet Mahmood Ayaz. Muhit-e-KHwab Se Ek Baad-e-tah-nashin Ubhri is written by Mahmood Ayaz. Read famous Poem Muhit-e-KHwab Se Ek Baad-e-tah-nashin Ubhri for youth and Student by Mahmood Ayaz. Free Download Muhit-e-KHwab Se Ek Baad-e-tah-nashin Ubhri in PDF.