Ek Samundar Shahr Ko Aaghosh Mein Leta Hua

ek samundar shahr ko aaghosh mein leta hua

ek samundar tere mere darmiyan phaila hua

ek jangal jis mein insan ko darindon se hai KHauf

ek jangal jis mein insan KHud se hi sahma hua

ek dariya ju bujha deta hai maidanon ki pyas

ek dariya KHwahishon ki pyas ka chaDhta hua

ek sahra jis mein sannaTa bagule aur sarab

ek sahra hasraton ki ret bikhraata hua

ek mausam jo badalta hai nazar ke pairahan

ek mausam muddaton se fikr pe Thahra hua

ek gulshan hai ruton ke aane jaane ka asir

ek gulshan sab ruton mein zehn mahkata hua

(469) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ek Samundar Shahr Ko Aaghosh Mein Leta Hua In English By Famous Poet Mahmood Shaam. Ek Samundar Shahr Ko Aaghosh Mein Leta Hua is written by Mahmood Shaam. Read famous Poem Ek Samundar Shahr Ko Aaghosh Mein Leta Hua for youth and Student by Mahmood Shaam. Free Download Ek Samundar Shahr Ko Aaghosh Mein Leta Hua in PDF.