Ghir Gaya Hun Be-tarah Main KHwahishon Ke Darmiyan

ghir gaya hun be-tarah main KHwahishon ke darmiyan

jism ke reze uDati aandhiyon ke darmiyan

kitne chehre kitni shaklen phir bhi tanhai wahi

kaun le aaya mujhe in aainon ke darmiyan

hum kahan yaro kahan wo mauja-e-baad-e-nasim

waqt ki pahnaiyan hail dilon ke darmiyan

dil pe guzri jo wo guzri shahr kyun viran hue

ek dahshat si hai phaili raston ke darmiyan

muddaa pinhan pas-e-alfaz hai jo paDh sako

kuchh nahin paoge tum in surKHiyon ke darmiyan

jaise KHushbu shahr mein sahra mein jaise chandni

yun bikhar jata hun mein tanhaiyon ke darmiyan

jis ki KHatir sher likhte ho kabhi paDhti bhi hai

kab talak uljhe rahoge qafiyon ke darmiyan

'sham'-ji bikhre kabhi is dil ke aangan mein mahak

zindagi guzregi kab tak aahaTon ke darmiyan

(571) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ghir Gaya Hun Be-tarah Main KHwahishon Ke Darmiyan In English By Famous Poet Mahmood Shaam. Ghir Gaya Hun Be-tarah Main KHwahishon Ke Darmiyan is written by Mahmood Shaam. Read famous Poem Ghir Gaya Hun Be-tarah Main KHwahishon Ke Darmiyan for youth and Student by Mahmood Shaam. Free Download Ghir Gaya Hun Be-tarah Main KHwahishon Ke Darmiyan in PDF.