Umr Guzri Ki Teri Dhun Mein Chala Tha Dariya

umr guzri ki teri dhun mein chala tha dariya

ja-ba-ja ghumta hai aaj bhi pagla dariya

banti jati hain guhar kitni hi bholi yaaden

ye mera dil hai ki Thahra hua gahra dariya

na kisi mauj ka naghma hai na girdab ka raqs

jaane kya baat hai KHamosh hai sara dariya

thal ke sine pe pighal jati hai jab chand ki barf

dur tak ret pe bahta hai sunahra dariya

hae wo rang bhare pyar ke maskan pattan

hae wo naw se rah rah ke lipaTta dariya

'sham' aakash pe jab phailta hai din ka lahu

Dub jata hai kisi soch mein bahta dariya

(534) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Umr Guzri Ki Teri Dhun Mein Chala Tha Dariya In English By Famous Poet Mahmood Shaam. Umr Guzri Ki Teri Dhun Mein Chala Tha Dariya is written by Mahmood Shaam. Read famous Poem Umr Guzri Ki Teri Dhun Mein Chala Tha Dariya for youth and Student by Mahmood Shaam. Free Download Umr Guzri Ki Teri Dhun Mein Chala Tha Dariya in PDF.