Ghar Bulata Hai Kabhi Shauq-e-safar Khinchta Hai

ghar bulata hai kabhi shauq-e-safar khinchta hai

dauD paDta hun mujhe jo bhi jidhar khinchta hai

is tarah khinchti hain mujh ko kisi ki aankhen

jaise tufan mein kashti ko bhanwar khinchta hai

kaise mumkin hai bhala chand na dekhe koi

husn kaamil ho to phir KHud hi nazar khinchta hai

sham Dhalte hi teri samt chala aata hun

jaise bhaTke hue panchhi ko shajar khinchta hai

us ke kuche se guzarne ka sabab hai tasir

ek jhonka sa hai KHushbu ka idhar khinchta hai

shauq ki baat hai warna suKHan aasan nahin

ek misra bhi miyan KHun-e-jigar khinchta hai

(445) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ghar Bulata Hai Kabhi Shauq-e-safar Khinchta Hai In English By Famous Poet Mahmood Taseer. Ghar Bulata Hai Kabhi Shauq-e-safar Khinchta Hai is written by Mahmood Taseer. Read famous Poem Ghar Bulata Hai Kabhi Shauq-e-safar Khinchta Hai for youth and Student by Mahmood Taseer. Free Download Ghar Bulata Hai Kabhi Shauq-e-safar Khinchta Hai in PDF.