Ab Nahin Koi Jabin Mah-e-daraKHshan Ki Tarah

ab nahin koi jabin mah-e-daraKHshan ki tarah

ab koi aankh nahin chashm-e-ghazalan ki tarah

ab kahin bhi nazar aate nahin aariz ke gulab

ab koi zulf kahan sumbul-o-raihan ki tarah

is bhare shahr mein ab koi zuleKHa hi nahin

ek chehra bhi nahin surat-e-jaanan ki tarah

kijiye bhi to kahan us ruKH-e-zeba ki talash

koi kucha hi nahin ku-e-nigaran ki tarah

zindagi ban gai ek soz-e-darun tere baghair

kaTe kaTti hi nahin hai shab-e-hijran ki tarah

le ke aai teri yaadon ke mahakte hue phul

koi mausam hi nahin fasl-e-bahaaran ki tarah

jaan-e-jaan meri wafaon ka sila do ki na do

kaun chahega tumhein is dil-e-nadan ki tarah

(333) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ab Nahin Koi Jabin Mah-e-daraKHshan Ki Tarah In English By Famous Poet Mahmood-ul-Hasan. Ab Nahin Koi Jabin Mah-e-daraKHshan Ki Tarah is written by Mahmood-ul-Hasan. Read famous Poem Ab Nahin Koi Jabin Mah-e-daraKHshan Ki Tarah for youth and Student by Mahmood-ul-Hasan. Free Download Ab Nahin Koi Jabin Mah-e-daraKHshan Ki Tarah in PDF.