Shahr-e-dil UjDa To Barbaad Hua Kya Kya Kuchh

shahr-e-dil ujDa to barbaad hua kya kya kuchh

naqsh-bar-ab ki manind miTa kya kya kuchh

dard-e-dil kahish-e-jaan soz-e-darun dagh-e-jigar

be-talab teri inayat se mila kya kya kuchh

uff ye begangi-o-tark-e-talluq ka azab

pa gae hum bhi wafaon ka sila kya kya kuchh

kaisa insaf hai ye kaisi adalat hai teri

di hai na-karda KHataon ki saza kya kya kuchh

kab KHabar hoti hamein kaun kahan se aaya

kah gaya chupke se naqsh-e-kaf-e-pa kya kya kuchh

rahat-e-wasl mohabbat ka nasha dard-e-firaq

teri chahat ne meri jaan diya kya kya kuchh

lab tere kis liye iqrar-e-mohabbat karte

aankh hi kah gai ai jaan-e-wafa kya kya kuchh

(356) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Shahr-e-dil UjDa To Barbaad Hua Kya Kya Kuchh In English By Famous Poet Mahmood-ul-Hasan. Shahr-e-dil UjDa To Barbaad Hua Kya Kya Kuchh is written by Mahmood-ul-Hasan. Read famous Poem Shahr-e-dil UjDa To Barbaad Hua Kya Kya Kuchh for youth and Student by Mahmood-ul-Hasan. Free Download Shahr-e-dil UjDa To Barbaad Hua Kya Kya Kuchh in PDF.