Wafa Ki Rah Mein Kis Ka Ye Naqsh-e-pa Nikla

wafa ki rah mein kis ka ye naqsh-e-pa nikla

jabin-e-shauq tera aaj hausla nikla

sukut-e-aKHir-e-shab aur fasurdagi dil ki

bujha bujha sa teri yaad ka diya nikla

kami thi kuchh teri bazm-e-tarab mein kya saqi

ki jura jura bhala kis ka hausla nikla

kabhi baraste the lal-o-guhar isi ghar mein

isi makan se magar kasa-e-gada nikla

kaThin thi rah-e-wafa dur manzil-e-jaanan

qadam baDhae to lamhon ka fasla nikla

mera fasana to har ahd ka fasana hai

ki lafz lafz mohabbat ka majra nikla

(411) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wafa Ki Rah Mein Kis Ka Ye Naqsh-e-pa Nikla In English By Famous Poet Mahmood-ul-Hasan. Wafa Ki Rah Mein Kis Ka Ye Naqsh-e-pa Nikla is written by Mahmood-ul-Hasan. Read famous Poem Wafa Ki Rah Mein Kis Ka Ye Naqsh-e-pa Nikla for youth and Student by Mahmood-ul-Hasan. Free Download Wafa Ki Rah Mein Kis Ka Ye Naqsh-e-pa Nikla in PDF.