Ghar Se Hamein Jaane Ki Zarurat Nahin Ab Kuchh

ghar se hamein jaane ki zarurat nahin ab kuchh

bahar ki hawa aa ke bata jati hai sab kuchh

kya tez hai ye mausam-e-baran-e-suKHan bhi

labrezi-e-dil kuchh hai nawa-KHezi-e-lab kuchh

kya dam-e-fusun zinda charaghon ke liye the

andaza-e-shab hum ko hua aaKHir-e-shab kuchh

aam itna raha shohra-e-zar shor-e-sara mein

kaam aai nahin narmi-e-tahzib-o-nasab kuchh

chup hain ki ek aashob-e-malamat mein ghire hain

aae the subuk lahje liye KHair-talab kuchh

ek shaKHs se paiman bahut soch ke bandha

phir hum ne tarasha nahin ranjish ka sabab kuchh

ai zi-hunaran tez-rawan asr-muridan

hum log dua-go hain hamara bhi adab kuchh

(319) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ghar Se Hamein Jaane Ki Zarurat Nahin Ab Kuchh In English By Famous Poet Mahshar Badayuni. Ghar Se Hamein Jaane Ki Zarurat Nahin Ab Kuchh is written by Mahshar Badayuni. Read famous Poem Ghar Se Hamein Jaane Ki Zarurat Nahin Ab Kuchh for youth and Student by Mahshar Badayuni. Free Download Ghar Se Hamein Jaane Ki Zarurat Nahin Ab Kuchh in PDF.