Hamare Hath The Suraj Nae Jahanon Ke

hamare hath the suraj nae jahanon ke

so ab zaminon ke hum hain na aasmanon ke

hazar gird laga len qad-awar aaine

hasab-nasab bhi to hote hain KHandanon ke

huruf-bin to sabhi hain magar kise ye shuur

kitab paDhti hai chehre kitab-KHwanon ke

ye kya zarur ki namon ke ham-mizaj hon log

bahaar aur KHizan nam hain zamanon ke

wo chahe aa ke na bahar kisi se baat karen

KHabar makinon ki dete hain dar makanon ke

hamari qadr ko samjhe ye asr-e-na-qadran

hum ahl-e-fan hain khilaune nahin dukanon ke

ab aisi shorish-e-bazar-e-madh mein 'mahshar'

KHamosh lahje ghanimat hain qadr-danon ke

(337) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hamare Hath The Suraj Nae Jahanon Ke In English By Famous Poet Mahshar Badayuni. Hamare Hath The Suraj Nae Jahanon Ke is written by Mahshar Badayuni. Read famous Poem Hamare Hath The Suraj Nae Jahanon Ke for youth and Student by Mahshar Badayuni. Free Download Hamare Hath The Suraj Nae Jahanon Ke in PDF.