Kabhi Wo Dida-e-dil Wa Bhi ChhoD Jate Hain

kabhi wo dida-e-dil wa bhi chhoD jate hain

kabhi KHayal ka rasta bhi chhoD jate hain

na jao ghar ke shab-afroz rauzanon pe ki log

diya makan mein jalta bhi chhoD jate hain

kuchh e'tibar nahin ham-rahan-e-sahra ka

ye dur shahr se tanha bhi chhoD jate hain

jo bul-hawas hain phir aate hain tere kuche mein

jo be-gharaz hain wo duniya bhi chhoD jate hain

palTte bhi nahin sarmastiyon ke sail aur phir

nishaniyan lab-e-dariya bhi chhoD jate hain

ab is se peshrawan-e-chaman ko kya matlab

chaman-nashinon ko jaisa bhi chhoD jate hain

baDha bhi lete hain rahgir un ki KHak se pyar

phir apni KHak ko ruswa bhi chhoD jate hain

(331) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kabhi Wo Dida-e-dil Wa Bhi ChhoD Jate Hain In English By Famous Poet Mahshar Badayuni. Kabhi Wo Dida-e-dil Wa Bhi ChhoD Jate Hain is written by Mahshar Badayuni. Read famous Poem Kabhi Wo Dida-e-dil Wa Bhi ChhoD Jate Hain for youth and Student by Mahshar Badayuni. Free Download Kabhi Wo Dida-e-dil Wa Bhi ChhoD Jate Hain in PDF.