Kahin Sahra Mein Jo Dariya Dekhen

kahin sahra mein jo dariya dekhen

hum bhi aaine mein chehra dekhen

hum mohabbat ke liye KHak uDaen

log galiyon mein tamasha dekhen

sabr aa jae agar apna ye haal

jin ki KHatir hai wo tanha dekhen

band aankhon mein baDi wusat hai

band aankhon hi se duniya dekhen

ghar hai mausam se bachana mushkil

jaanib-e-abr-o-hawa kya dekhen

itni diwar-e-gulistan na baDhao

ki bayaban mera rasta dekhen

ab yahi shakl-e-tamanna hai ki hum

umr bhar KHwab-e-tamanna dekhen

hum bashar hain na ki sahra ke shajar

jo sada apna hi saya dekhen

(332) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kahin Sahra Mein Jo Dariya Dekhen In English By Famous Poet Mahshar Badayuni. Kahin Sahra Mein Jo Dariya Dekhen is written by Mahshar Badayuni. Read famous Poem Kahin Sahra Mein Jo Dariya Dekhen for youth and Student by Mahshar Badayuni. Free Download Kahin Sahra Mein Jo Dariya Dekhen in PDF.