Kam Ulajhti Hai Charaghon Se Hawa Mere Baad

kam ulajhti hai charaghon se hawa mere baad

shahr mein shahr ka mausam na raha mere baad

main ne jal kar na diya maslahat-e-waqt ka sath

kya KHabar kaun jala kaun bujha mere baad

sach ki KHatir sar-e-shola bhi zaban rakh deta

baat ye hai koi mujh sa na raha mere baad

Dubna tha so main ek mauj mein pas Dub gaya

aur dariya tha ki bahta hi raha mere baad

phir koi sham-e-shafaq-dida bhi utri ki nahin

meri tanhai ka kya rang hua mere baad

aur kya hashr tha is anjuman-afrozi ka

bas yahi tha ki dhuan aur baDha mere baad

yun main aasuda-e-manzil hun ki ab gard-e-safar

chumti hai mera naqsh-e-kaf-e-pa mere baad

kya bura waqt paDa shahr-e-wafa par 'mahshar'

mujh ko hi DhunDti hai meri wafa mere baad

(322) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kam Ulajhti Hai Charaghon Se Hawa Mere Baad In English By Famous Poet Mahshar Badayuni. Kam Ulajhti Hai Charaghon Se Hawa Mere Baad is written by Mahshar Badayuni. Read famous Poem Kam Ulajhti Hai Charaghon Se Hawa Mere Baad for youth and Student by Mahshar Badayuni. Free Download Kam Ulajhti Hai Charaghon Se Hawa Mere Baad in PDF.