Kare Dariya Na Pul Mismar Mere

kare dariya na pul mismar mere

abhi kuchh log hain us par mere

bahut din guzre ab dekh aaun ghar ko

kahenge kya dar-o-diwar mere

wahin suraj ki nazren thin ziyaada

jahan the peD saya-dar mere

wahi ye shahr hai to shahr walo

kahan hain kucha-o-bazar mere

tum apna haal-e-mahjuri batao

mujhe to kha gae aazar mere

jinhen samjha tha jaan-parwar main ab tak

wo sab nikle kafan-bardar mere

guzarte ja rahe hain din hawa se

rahen zinda-salamat yar mere

daba jis se usi patthar mein Dhal kar

bike chehre sar-e-bazar mere

daricha kya khula meri ghazal ka

hawaen le uDin ashaar mere

(404) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kare Dariya Na Pul Mismar Mere In English By Famous Poet Mahshar Badayuni. Kare Dariya Na Pul Mismar Mere is written by Mahshar Badayuni. Read famous Poem Kare Dariya Na Pul Mismar Mere for youth and Student by Mahshar Badayuni. Free Download Kare Dariya Na Pul Mismar Mere in PDF.