Koi Nahin Jo Halka Kar De Bar-e-safar Mujh Tanha Ka
koi nahin jo halka kar de bar-e-safar mujh tanha ka
dosh pe hai imroz ka bojh aur sar par qarz hai farda ka
aandhi aae to andesha tufan uTThe to tashwish
ek taraf se sahra ka qurb ek taraf se dariya ka
kin zaKHmon ke Tanke TuTe kin daghon ke band khule
KHun hai rangat sham-o-sahar ki aag hai mausam duniya ka
kuche ke KHamosh gharon ki raat se kitna ghafil hai
aaKHir mah ye shor-e-shabana yaran-e-be-parwa ka
pesh-rawon ko is darje par aur bhi kuchh inam mile
sang-e-malamat kam hi sila hai mere dimagh-e-sauda ka
hum ko hamari mahrumi ki qimat milti rahti hai
dil mein hamare baDh jata hai roz ek zaKHm tamanna ka
(361) Peoples Rate This