Kuchh Aagahi Ki Sabilen Hain Intishaar Mein Bhi

kuchh aagahi ki sabilen hain intishaar mein bhi

kabhi kabhi nikal aaya karo ghubar mein bhi

ye baat alag ki nishan apna mausamon ko na den

numu ke silsile hote hain reg-zar mein bhi

main ban ke johd-e-rawan mauj-mauj phaila hun

meri fana nahin dariya ke iKHtiyar mein bhi

musafir aap bana lete hain jagah apni

musafiron ko biTha do kisi dayar mein bhi

kalam karte hain dar bolti hain diwaren

ajib suraten hoti hain intizar mein bhi

barasne wali ghaTa TuT TuT kar barsi

sulagne wale sulagte rahe bahaar mein bhi

(348) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kuchh Aagahi Ki Sabilen Hain Intishaar Mein Bhi In English By Famous Poet Mahshar Badayuni. Kuchh Aagahi Ki Sabilen Hain Intishaar Mein Bhi is written by Mahshar Badayuni. Read famous Poem Kuchh Aagahi Ki Sabilen Hain Intishaar Mein Bhi for youth and Student by Mahshar Badayuni. Free Download Kuchh Aagahi Ki Sabilen Hain Intishaar Mein Bhi in PDF.