Kuchh Lahu To Farozan Hamara Bhi Hai
kuchh lahu to farozan hamara bhi hai
shahr par itna ehsan hamara bhi hai
dekhna baKHiya-e-jama-e-waqt mein
ek tar-e-gareban hamara bhi hai
haq-bayanon ki KHatir hai wusat baDi
kuchh yahi KHwab-e-zindan hamara bhi hai
wo jo fard-e-wafa mein qalam-zad hue
nam un mein numayan hamara bhi hai
har kaDe waqt se sahl guzre magar
in dinon dil pareshan hamara bhi hai
kuchh to Dhab ho ki ab apni naslen kahen
ye dayar-e-buzurgan hamara bhi hai
jab se jaga hai ghazlon mein shahr-e-nawa
rutba-dan har suKHan-dan hamara bhi hai
(344) Peoples Rate This