Lab-e-talab Bhi Na Phir Mail-e-sawal Hua

lab-e-talab bhi na phir mail-e-sawal hua

ki jab taqaddus-e-kashkol paemal hua

ajib qaht-e-KHayal-o-KHabar se guzre hum

kisi ne haal bhi pucha to ji bahaal hua

mile ba-sai-e-rafu aur uThe gareban-chaak

ye mashwara hua logo ki ishtial hua

wo jal phaile hawa mein ki par-kushaon ko

nashemanon ki taraf lauTna muhaal hua

ye hashr us ka hai suraj kaha gaya jis ko

kabhi suna kisi zarre ko bhi zawal hua

kuchh aise hadse bhi the jo zaKHm-e-waqt ke the

so kis se waqt ke zaKHmon ka indimal hua

ajab wo shahr-e-sitamgar tha chhoD kar jis ko

bahut KHushi hui aur phir bahut malal hua

wo ek musafir-e-haq-kosh tha so us ka ye ajr

sadaqaton ke safar hi mein intiqal hua

phirin kuchh aisi shab-afroziyan nigahon mein

charagh-e-sham jala aur main niDhaal hua

(362) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Lab-e-talab Bhi Na Phir Mail-e-sawal Hua In English By Famous Poet Mahshar Badayuni. Lab-e-talab Bhi Na Phir Mail-e-sawal Hua is written by Mahshar Badayuni. Read famous Poem Lab-e-talab Bhi Na Phir Mail-e-sawal Hua for youth and Student by Mahshar Badayuni. Free Download Lab-e-talab Bhi Na Phir Mail-e-sawal Hua in PDF.