Marhale SaKHt Imtihan Ke Hain
marhale saKHt imtihan ke hain
chal paDe hum bhi sina tan ke hain
aasman zer-e-par hain jo tair
meri hi sath ki uDan ke hain
mushtail rahne den inhen ki bujhaen
ye charagh apne hi makan ke hain
kaun kahta hai shab ko shab na kaho
kuchh qarine bhi to zaban ke hain
aadmi ab kahan zamin pe rahe
sab farishte hi aasman ke hain
jin ke shab-KHun se hai dukhi ye zamin
jaane wo log kis jahan ke hain
zad pe hum hain to zad pe tum bhi ho
tir hum bhi kaDi kaman ke hain
(462) Peoples Rate This