Mera Ek Ik Harf Paimana Meri Iza Ka Hai
mera ek ek harf paimana meri iza ka hai
tishnagi ki wusaten hain ye karam dariya ka hai
ban gae sahra mein ghar lekin gharon mein aaj tak
rau wahi wahshat ki hai mausam wahi sahra ka hai
chahe bik jaun chukaunga magar sab ka hisab
mujh pe qarz imroz ka hai mujh pe haq farda ka hai
gard-o-baad-e-dasht ka ehsan ki hai tu sath sath
is safar mein kaun mujh aawara o tanha ka hai
jae bhi koi naya rah-raw to ab jae kidhar
be-karan ek sail har jaanib nuqush-e-pa ka hai
kam na thi kal bhi ufuq-tabi magar wo kal ki thi
aaj ubharne wala suraj aaj ki duniya ka hai
(362) Peoples Rate This