Mera To Waqt Ghar Se Kuch Hi Ka Hai
mera to waqt ghar se kuch hi ka hai
sawal sare ghar ki zindagi ka hai
yahan to dosti nibhe na dushmani
zamin hai jis ki aasman usi ka hai
taras na jae raqs-o-ram ko bhi kahin
wo dasht jis pe saya aadmi ka hai
jo din na guzre wo bhi din guzarna
hamara kya ye saneha sabhi ka hai
ye imtihan garan hai aur bahut garan
magar ye karb to kabhi kabhi ka hai
mere shikast-ju shikast kha gae
KHamosh hun ki din hi KHamushi ka hai
har ibtida ko intiha ka hai guman
har intiha ko gham kisi kami ka hai
(429) Peoples Rate This