Pa-ba-jaulan Arsa-e-sarw-o-saba Mein Aae Hain

pa-ba-jaulan arsa-e-sarw-o-saba mein aae hain

hum bhi kuchh naghme liye shahr-e-nawa mein aae hain

hum KHas-o-KHashak aawara guzargahon ka bojh

raqs karne tere kuche ki hawa mein aae hain

ye fishaar-e-gard-o-zulmat ye KHarosh-e-abr-o-baad

aap hi ka dil hai milne is faza mein aae hain

tujh se mil kar sab se ab daman chhuDa lenge magar

sath jin kanTon ke hum rah-e-wafa mein aae hain

sharm ke kuchh phul le kar kuchh nadamat ke guhar

tere parwarda teri daulat-sara mein aae hain

ab tak aankhon ki nami ka silsila TuTa nahin

kuchh ghubar aise hi ji par ibtida mein aae hain

aaj hi dekhe the armanon ke KHwab aur aaj hi

kuchh nae halqe nazar zanjir-e-pa mein aae hain

(385) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Pa-ba-jaulan Arsa-e-sarw-o-saba Mein Aae Hain In English By Famous Poet Mahshar Badayuni. Pa-ba-jaulan Arsa-e-sarw-o-saba Mein Aae Hain is written by Mahshar Badayuni. Read famous Poem Pa-ba-jaulan Arsa-e-sarw-o-saba Mein Aae Hain for youth and Student by Mahshar Badayuni. Free Download Pa-ba-jaulan Arsa-e-sarw-o-saba Mein Aae Hain in PDF.