Rahen To Bahut Thin Zindagi Mein

rahen to bahut thin zindagi mein

hum kho gae ishq-o-ashiqi mein

jo baat kisi mein chahte the

ab tak na mili hamein kisi mein

wo lamha jo tere sath guzra

wo lamha bahut hai zindagi mein

paikar hai wo ek sadgi ka

sau rang hain us ki sadgi mein

dariya pe bhi ja ke lauT aae

Dube hue kaif-e-tishnagi mein

anjam-e-bahaar sujhta kya

aaghaz-e-bahaar ki KHushi mein

aaise bahut aaftab ubhre

jo Dub gae hain tirgi mein

(373) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Rahen To Bahut Thin Zindagi Mein In English By Famous Poet Mahshar Badayuni. Rahen To Bahut Thin Zindagi Mein is written by Mahshar Badayuni. Read famous Poem Rahen To Bahut Thin Zindagi Mein for youth and Student by Mahshar Badayuni. Free Download Rahen To Bahut Thin Zindagi Mein in PDF.