Shabnam Ne Kab Is Baat Se Inkar Kiya Hai

shabnam ne kab is baat se inkar kiya hai

kirnon ne sada us se bahut pyar kiya hai

shaKHon pe ab ilzam koi baad-e-saba kyun

tu ne hi to har shaKH ko talwar kiya hai

kis kis pe kiye lutf-o-karam shahr-e-tarab ne

hum par bhi koi saya-e-diwar kiya hai

kuchh saKHti-e-imroz to kuchh ye bhi ki yaro

qarz-e-gham-e-farda ne giran-bar kiya hai

jang apne muqaddar se KHaridi hai ki hum ne

ek shaKHs hai dil de ki jise yar kiya hai

ek lamhe ke ehsas ne tanha-safari mein

barson ke liye waqt se hushiyar kiya hai

hoga koi bhed is mein ki nam apna hamin ne

bad-nam sar-e-kucha-o-bazar kiya hai

jis dasht se lae the wahin le chalo yaro

kyun aaise KHarabe mein hamein KHar kiya hai

KHush hote hain sheron se samajhte hain kahan log

shaer ne kisi dard ka izhaar kiya hai

(404) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Shabnam Ne Kab Is Baat Se Inkar Kiya Hai In English By Famous Poet Mahshar Badayuni. Shabnam Ne Kab Is Baat Se Inkar Kiya Hai is written by Mahshar Badayuni. Read famous Poem Shabnam Ne Kab Is Baat Se Inkar Kiya Hai for youth and Student by Mahshar Badayuni. Free Download Shabnam Ne Kab Is Baat Se Inkar Kiya Hai in PDF.