Shahr Mein Ek Ajab KHak-ba-sar Aaya Hai

shahr mein ek ajab KHak-ba-sar aaya hai

koi uftad paDi hai ki idhar aaya hai

ye to us shahr ke raste bhi samajhte honge

aane wala baDi rahon se guzar aaya hai

kaun jogi hai kahin jis ka basera na paDaw

kya musafir hai ki be-sham-o-sahar aaya hai

kaisa wahshi hai ki wahshat ki haden toD gaya

koi sahra ki taraf ja ke bhi ghar aaya hai

har KHam-e-jada khula surat-e-gesu kaisa

har KHat-e-sang mein kya tujh ko nazar aaya hai

bazm-e-yaran nigran ghol-e-harifan raqsan

ek tamasha ba-tamasha-e-digar aaya hai

zindagi karne lagi shahr ke halqe mein tawaf

rasta koh se dariya mein utar aaya hai

kab uTha bar-e-karam lekin uTha hai is bar

waqt gardish mein kab aaya tha magar aaya hai

wahi imkan-e-ghurub aur wahi saman-e-tulu

ya safar KHatm hai ya waqt-e-safar aaya hai

(376) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Shahr Mein Ek Ajab KHak-ba-sar Aaya Hai In English By Famous Poet Mahshar Badayuni. Shahr Mein Ek Ajab KHak-ba-sar Aaya Hai is written by Mahshar Badayuni. Read famous Poem Shahr Mein Ek Ajab KHak-ba-sar Aaya Hai for youth and Student by Mahshar Badayuni. Free Download Shahr Mein Ek Ajab KHak-ba-sar Aaya Hai in PDF.