Tair Ke Liye Din Raat Ka Dar

tair ke liye din raat ka Dar

dahliz pe rizq aur taq mein ghar

sab rauzan-e-zindan band hue

ya kuchh na raha zindan se udhar

bahar ye qadam niklen to khule

zanjir madad karti hai ki dar

maqtal ki zamin se phul ugen

jata hai kahin miTTi ka asar

nind aati hai us ke sae mein

gir jae ye diwar agar

hum sog hain jage sapnon ka

ai raat hamein mahsus na kar

jalwaon se bahut nazdik ho tum

ai bul-hawso daman pe nazar

hai apna qayam is aalam mein

shabnam ka basera kanTe par

ya sirf Dagar thi waqt na tha

ab sirf hai waqt ka nam Dagar

kuchh apni pyasen bujh bhi gain

kuchh qarz hain dariya-noshon par

(404) Peoples Rate This

Related Poetry

Your Thoughts and Comments

Tair Ke Liye Din Raat Ka Dar In English By Famous Poet Mahshar Badayuni. Tair Ke Liye Din Raat Ka Dar is written by Mahshar Badayuni. Read famous Poem Tair Ke Liye Din Raat Ka Dar for youth and Student by Mahshar Badayuni. Free Download Tair Ke Liye Din Raat Ka Dar in PDF.